Akhri Sawaal | | akhri sawal
zaberdast
her nazam achi hai khasosan nay dost
unki nazmon ko ager first koshish samgha jay to acha lagta hai
apni masrofiat kay bais main shamil to naheen ho saki
mager 20 11 2007 ki likhi hoi nazam hazir hai kay her cheez moqay ki munasbat say hi achi lagti hai ab kay ik aakhri sawaal karna hai mughay kay yeh mulaqat tamam karna hai mughay mager janan ! main bas yeh soch rahi hon wo aakhri sawaal kia karon? mittay gharon aur luttay logon ki aawazon main main pyar bhara koi sawaal karon? aamriat kay panjay main pharpharatay panchi ki aakhri sansain shumar karon ya mumtahin aur nigran ki sazshain ishtihar karon pas_e_zindan haqgoon ko likhon? ya aseeran_e_watan shumar karon waqt ki raftar daikhon ya dard_e_maseehai say dil fgar karon? main karon to kia karon? band ankhon say sapnay daikhti is kom ko kis tarah baidaar karon? surkh hoi miti say uthti khushbo main chupa sawaal? main wo aakhri sawaal baidaar karon? janan! in halaat main pyar muhabat ki batain kia karon kia aakhri sawaal karon! her jalay katay udhray jism ki kahani likhon? her kahani ka injam aakhri sawaal karon? main wo tishna sawaal lay ker kahan jaon? main kis say yeh aakhri sawaal karon? |