wo boli | | salam , ye meri koi do saal purani nazam hai jisay maine likha tha aaj ap ki khidmat main paish kr raha hoon i hope ap pasand karain ge.
arshad jawaid ( a j ).
"wo boli"
kaha us ne ' zara daikho chand aasman par kaise jagmagaya hai
kaha maine ' ye bhi meri tarha tumhe daikh kar muskuraya hai
kaha us ne ' ye december ki bheegi bheegi shaamain kitni achi hain
kaha maine ' ye tere jal thal jal thal nainon kay jaisi hain
wo kahti hai ' mujhe gehrey neelay samander ka kinara acha lagta hai
main kahta hoon ' mujhe teri mast nazroon ka katara acha lagta hai
wo kahti hai ' khaoo qasam apne dil pe haath rakh kar tum mujhi ko chahte ho
main kahta hoon ' ik muddat se mere pass dil hi kahan hai
wo mujh se poochti hai ' barasti barishon main jism kab sulag se utth tey hain
main kahta hoon ' jab dil par dard e mohobat ki aatisheen barsat hoti hai
wo mujh se poochti hai ' ye shair ' ye nazmain ' ye ghazlain kis k liye likhtey ho
main kahta hoon ' ye mere dil ki sab batain hain tere payar ka sadqa
wo kahti hai ' tum ab meri tareef kion nahi kartey
main kahta hoon ' lagta hai tumne meri nazmoon ko nahi padha
wo kahti hai ' tumhari aankhain ratoon main kion chamak si utth ti hain
main kahta hoon ' in main tere naam ka taara chamakta hai
wo boli ' kia kabhi ratoon main tumhain meri yaad aati hai
main bola ' teri tasweer shaam o seher meri aankhon main rehti hai
wo boli ' zara mere haath ki lakeerain to daikho ye kia kahti hain
main us ka haath choom kar bola ' in main to meri taqdeer likhi hai.!!! |