Meri jaaN ye mera kamaal tha | | Tujhe aik bhi na safayee di, meri jaaN ye mera kamaal tha Tujhe dostoN pe yaqeen tha, mujhe dushmanoN ka khayal tha BaNTeeN shehr maiN, jo ra'ayateN, to panaah DhoonD li dasht maiN Wo kisi ka rehm-o-karam sahi, ye meri anaa ka sawaal tha Wo jo lamha bhar ki bahaar thi, meri umr bhar ka hisaar thi Na naye guloN ki talab koi, na khizaaN ka koi malaal tha Tere mausamoN ka har aik pal, meri yaad maiN tha saja hua Mujhe is se koi gharaz na thi, wo firaaq tha ke wisaal tha Bhala waqt se maiN DarooNga kia, kabhi khauf iska karooNga kia Jise haNs ke maiN ne chuna tha khud, wahi iska ghaiz-o-jalaal tha Kisi aur ka bhi ye haal ho, to ye dil na itna niDhaal ho Meri bad naseebi to ye hui, maiN khud aap apni misaal tha Mujhe ilm tha, maiN Saraab tha, so naseeb mera kharaab tha Wo jo raiza raiza hawa maiN tha, wahi mera khwab-o-khayal tha
__________________ ******************** ******************** **** Adaab teri bazm ke jeenay nahiN daitay DeewanoN ko jeenay ki tamanna to baRi hay
(Qabil Ajmeri)
Last edited by Saraabs; 11-21-2007 at 05:44 PM.
|