Re: deed ka saamaa.N kerna | | Wah wah wah.....Khalid Bhai....yaqeen manye is ghazal ka koi jawab nahin...main sakht badnaseeb hoon ke itne din ke baad aya aur aap ki ghazal aaj dekhne ko mili hai....behad umda mazameen laye hain aap....intehai achchoote aur nadir khayalaat hain...khaas ker ke ye ash'aar to lajawaab kar gaye.
Zehr taryaaq hai hargiz na batana usko
Dard se chHoR na de dard ka darmaaN karna (Kia baat hai janab)
Shola-e-shaam-o-sahar dil maiN basa kar us se
Raat ki bazm ko aye yaar charaghaaN karna (Bhai wahhh....SubhanAllah )
__________________ ******************** ******************** **** Adaab teri bazm ke jeenay nahiN daitay DeewanoN ko jeenay ki tamanna to baRi hay
(Qabil Ajmeri) |