as-salam-o-alaikum Anis bhai,
bohat umda nazm kahi hy aap ne, is daur meiN paband nazm kehny ki riwayat kam hoti ja rahi hy, mager paband paira'ay meiN nazm kehny ka lutf aaj bhi wesa hi hy jesa Faiz, Saahir aur phir Mustafa Zaidi k daur meiN tha... bohat acha laga aap ki nazm paRh kr, nazm ka ikhtitaam khoob hy:
Khudaya tujh say bus ik AAKHRI SAWAL hai yeh
kuch ab sukoon kay lamhay bhi hum ko mil jaain
hamari bhi tu koyee aarzooain poori houn
hamaray dil mein bhi thoray gulab khil jaain
meri janib se boaht si daaad, is qadar achi nazm kehny
pr wasool kreN...
wesy dusry band ka dusra shair paRh kr daf'atan mujhy Akhtar Usman sahab ka shair yaad aa gy, aap ki nazr ki'ay deta huN:
abhi to par bhi nahiN tolta uRaan ko maiN,
bila jawaz khaTakTa huN aasmaan ko maiN....
Allah Mola aap ko khush rakhy... youNhi khoob se khoob ter likhty aur ham se share krty raheN....
1.gif)