deed ka parda-e-khilwat mai.N he saamaa.N kerna | | Aaam her giz na kabhi jalwa-e-janaa.N kerna Deed ka parda-e-khilwat mai.N he samaa.N kerna Laag ho dil ke kahi.N deed pareshaa.N ho kahi.N Aisi wehshat na kabhi ham se Ghazalaa.N kerna Ho guzarna jo tera dasht ki tanhai se Zarre zarre ko waha.N ja ke bayaabaa.N kerna shab ki dehleez se le aana sitaroo.N ka ghubaar Noor se us ke he rooshan ye shabistaa.N kerna Us ko her giz na bataana ke junoo.N lahaq he Us ke aage na kabhi chaak garebaa.N kerna shola-e-shaam-o-sahar dil mai.N basa ker us se Raat ki bazm ko aye yaar charaaghaa.N kerna zehr taryaaq he her giz na batana us ko Dard se choor na de dard ka darmaa.N kerna Herf-e-anjaam ko aaghaaz batana us ko ger tajussus ho tu aaghaaz ko unwaa.N kerna Chaand nikle jo kabhi shab ki rida aurhe hue Us ke chehre pe bhi zulfoo.N ko pareshaa.N kerna Jaa mayassr na ager ho tu na kuch bhi kehna Ju mile ja tu use masnad-e-shahaa.N kerna us ko dene ko ager paas tere ho pather Ker ke tadbeer use laal-e-badakhshaa.N kerna kufr-e-hairat he baja phir bhi tra aage kabhi Jab wo aaena bane chashm ko hairaa.N kerna
Last edited by khalidrawat; 11-17-2007 at 04:20 PM.
|