HG Poets club kay tamam saathiyon ki khidmat mein salam,
Muqabla-e-nazm goyee November kay liyay diyay gayay mauzu par main nay bhi aik nazm likhi hai jo aap saub say share kar raha houn. Main chounkeh isay muqablay ka hissa nahin banana chahta tha is liyay alag say post kar raha houn aap ki aara ka intezar rahay ga.
AAKHRI SAWAL
Meray Khuda woh hamaray sawal kaun say thay
keh jin kay badlay mein aisay hamain jawab milay
woh jurm kiya thay hamaray hamain bata tu sahi
keh hum ko jin ki sazaon mein yeh azab milay
abhi tu raah-e-amal mein qadam hi rakha tha
keh har taraf say masaail kay saanp dasnay lagay
abhi tu urnay ko par bhi nahin thay phailayay
na jaanay kitnay hi sayyad jaal kasnay lagay
na jaanay kis liyay tabeerain sub guraizan rahin
keh hum nay khawab bhi palkon pay na sajayay thay
huyee thi jabr zara si bhi muskurahat kiyoun
abhi tu hont yeh hansna na seekh payay thay
hamain jalanay lagi kis liyay zamanay ki dhoop
kisi bhi zulf ki chaon mein hum na baithay thay
hamari aankhon mein kiyoun is qadar ghubar bhara
abhi tu hum nay koyee rung bhi na daikhay thay
Khudaya tujh say bus ik
AAKHRI SAWAL hai yeh
kuch ab sukoon kay lamhay bhi hum ko mil jaain
hamari bhi tu koyee aarzooain poori houn
hamaray dil mein bhi thoray gulab khil jaain
Anis Hasan