Re: Ashk Ruke tow sahra ho ga | | Ashk ruke to sehra hoga
Beh nikle to darya hoga
Matla hi ghazab ka kaha hai...mashaAllah...a ur uske baad poori ghazal hi ghazab dha rahi hai....khaas kar ke ye ash'aar
Tujh se bichaR kar dil ka panchi
Dali dali roya hoga
Shaam-e-talab se subh-e-fana tak
Dil ka safar bas itna hoga
TukRe dil ke chun lo khud hi
Wo to jag maiN uljha hoga
Bhai ye ghazal bhi "Bik chuke saare raazdaaN kab ke" ki tarah shandar hai...aap mashaAllah bohot achche shaire haiN...keep it up
__________________ ******************** ******************** **** Adaab teri bazm ke jeenay nahiN daitay DeewanoN ko jeenay ki tamanna to baRi hay
(Qabil Ajmeri) |