Re: Kia Ap May Say Koi Iss Shair KA Matlab Bata Sakta Hai ???? | | ma koshish karta hoon,, jahan tak ma matlub nikal saka hoon tu wo koch yun ha
kay insan apna maqsad-e-hayat koch aor lay ker aya ha is duniya ma aor wo yahan aaker yahan ki ranginion aor pur kashish mahool ko daik ker aoski ranayion ma is tarah mashghool hogaya kay apni maqsad-e-hayat bhool hi gaya. yani insan apnay hatoon main apnay jeenay ka aik mukamal zabta-e-hayat lay ker ata ha magr yahan aaker bawajod isky kay dosrey kamoon ma mashghool hojata ha, ju insan ko gumrahi ki taraf lay ker jati ha.
mery zihan ma is shair ko par ker yahee koch aya, hosakta ha ma nay ghalat matlub liya hoo, magr ap apnay ustad muhtaram sahab kaisaat ye matlub discuss zaroor karlain hosakta ha koch na koch ma nay sahi kaha hoo. per mujy zaroor bata dejiye ga.
humaishah khush rahoo
__________________ kaash aisa kamal hojayewo mera hum khayal hojaye |