Quote:
Originally Posted by Neha Sb ko as salam o alaikum, mujhay kuch madada darkaar hai...boht shukar guzaar hon gi agar koi mujhay is shair ka matlab batay ga..... Mashghool Hai Mazawalat e Mazkharafaat Main Haathon Main Mazameer e Mazmin Liy Huy Yeh Shair meray aik ustaad mohtaram nay likha hai or kaha hai k iss ka matlab dhundhu...may nay dictionary chaan maar li lakin iss may kuch bilkul new alfaaz hain...Kindly mujhay koi bata sakta hai k iss shair ka kia matlab hai....thoora bohat... I'll be thankful Regards |
aziza salaam,
umeed hai khairiat se ho gi...
aap ko har door mein aise loog mileen gay to bhari bhar kam ilfaaz dhoond dhoond kar dosroon pe apne ilm ki dhaak bithane ki koshish karte hain ..... 200 saal qabl hindustan mein farsi ziyaada parhi .likhi aur boli jaati thi jis waja se hameen qadeem shoshra ke kalaam mein farsi ki ameezish milti hai.... aur mere nazdeek har woh misra ya sheer jo qari ko samaj se bala ho aur usse samajhne ke liye kissi dictionary ki zaroorat pare woh shair ki kam mayegi ki hawala ban jayeegi is ka matlab yeh hua ke shair ke pass apne muda ke izhaar ke liye koi saada aur mahni kheez ilfaaz nahin thee...... jin sahib ne aap ko yeh misra ataa kiya hai unheen kaheen ke is ka jawaab mir taqi mir se leen... agar aap ko shairi karni hai to apni marawja zubaan mein kareen jisse har aam o khaas samaj sakne ki salahiyat rakhta ho...
dua goo
irshad qamar