Re: manind-e-shajar hara bhara huN | | jana tha kaheeN pe mujh ko lekin
saman-e-safar se gir gaya hooN
manga tha Khuda se khud ko maiN ne
daman maiN kisi ke a giraa hooN
chaho to mujhe saja lo dil par
hooN dagh magar maiN khush numa hooN
Wah...Faizan Bhai...wah kia baat hai...bohot hi umda..behad haseen...dheron daad qubool kijye |