Quote:
Originally Posted by ahmedshoaib77 G bahoo shukriyaa.
mager nay jo tarkeeb ikhtiyaar ki uss ki logic aur wajoohaat hain
pehlay misray main Abhi ka lafz yeh zahir kar raha hay k yeh waqtii kai-fi-yat hay. mohabbatin aaj kal main bahoot jaldi muntaqil ho jati hain.
phool beech bahar main k matlab yeh k choo k mohabbat naee hay iss leyay jaisay phool bahar main ghiraa hota hay iss tara say mukhatib bheee mohabat ka center hai.
key akheyaal hai. please comment |
yaqeenan maine jo tabdeeli ki , woh apke asal khayal say mukhtalif hogi... dar'asl maine to wazan k hawalay say tabdeeli ki thi, maiN to sirf aik misal daina chahti thi k asah'ar is tarah wazan maiN honay chahiyeN...
baqi ap yaqeenan mujh say behtar samajhtay hoNgay..
khush rahiye