Sb ko as salam o alaikum, mujhay kuch madada darkaar hai...boht shukar guzaar hon gi agar koi mujhay is shair ka matlab batay ga..... Mashghool Hai Mazawalat e Mazkharafaat Main
Haathon Main Mazameer e Mazmin Liy Huy
Yeh Shair meray aik ustaad mohtaram nay likha hai or kaha hai k iss ka matlab dhundhu...may nay dictionary chaan maar li lakin iss may kuch bilkul new alfaaz hain...Kindly mujhay koi bata sakta hai k iss shair ka kia matlab hai....thoora bohat...
I'll be thankful
Regards
__________________
Irada darya may qatray ki soorat gum ho jaun....
Apnay aap say bahar niklun, TUM ho jaun.....!!!