Quote:
Originally Posted by Saraabs Is tarah se mujrim hamain bedard na thehra Dunya ke muqabil to koi fard na thehra Dukh iska nahin hai ke bicharne ki ghari thi Dukh ye hai ke kion rang tera zard na thehra Hamdard bohot the jo koi dard nahin tha Jab dard barha koi bhi hamdard na thehra Taghoot manata hai jo faateh ki tarah jashn Kia koi bhi basti main jawan mard na thehra Tere bhi Saraab ishq main kuch kam thi hararat Tu uske rawayye ko bohot sard na thehra |
salaam,
achi ghazal..... ache izhaar se muzaiyan
matlah ka misra e saani istahfam paida kar raha hai.... lekon eik mukamil aur pur asar ghazal hai aap ki
duaon ke saath
qamar