Aankhon Mein Ek Sapna Jagta Hai Raat Bhar | | AANKHON MEIN EK SAPNA!!!!!!
Aankhon mein ek sapna jagta hai raat bhar
Dil yeh pagal mera tarapta hai raat bhar
Aandheron mein bhi yeh darechay chamaknay lagtay hain
Ek jugnoo sa jhilmalata hai raat bhar
Roshani kaye huay sunni raaton mein meri
Roshan ek diya sa jalta hai raat bhar
Rahon mein woh bhatak na jaie kahein
Yeh sooch kay chand bhi chamakta hai raat bhar
Woh ek hassien ehsaas ki manad hai jo
Chand mein rahe kay mujhe deikhta hai raat bhar
Ajnabi aahaton ko sunta hoon tuo soochta hoon
Kaun hai jo aakhir pukarta hai raat bhar
Ek yaad hai jo aab bhi zahein nashee hai meray
Ek kheyaal hai mujhe rulata hai raat bhar
Woh yaad kabhi kabhi aa hee jatay hain
Dil jin rishton ko bhulata hai raat bhar
Woh meray jeewan ka khisa hai aab tuo
Dharkan ki manad dharakta hai raat bhar
Mein aus ko keisay bhoolon meray saath harpal
Meray saye ki tarhan jo reitha hai raat bhar
Millay tuo phir na janay doon ga aus ko kahein
Dil apna jis ko yaad karta hai raat bhar
Meray dil kay hassien aangan mein mani
Yaadon ka ek badal barasta hai raat bhar
AANKHON MEIN EK SAPNA JAGTA HAI RAAT BHAR…!
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla
Last edited by aakaash; 09-27-2007 at 09:07 PM.
Reason: AANKHON MEIN EK SAPNA
|