Originally Posted by ihtesham Ajab ye haal ho jayay,
Tu meray sath kho jayay,
Jahan mein teri banhoun main,
Hamesha inhi rahoun main,
Kaheen behoush ho Jaaoun,
Teri Aaghoush main aa ker,
Zamana bhool sa Jaaoun,
Tera Andaz-e-Bebaqi,
Wohi Chubhta hua chehra,
Teri aankhon ki Thandak main,
Teray pehloo ke saayay main,
Ghani chaaoun ke mazi main,
Sabhee Gham bhool sa jaaoun,
Tu behti aabsharoun main,
Tu na jaati baharoun main,
Tu ratoun ki Suhaani main,
Tu phoolon ki jawaani main,
Ke jaisay aag pani main,
Sulagtee saans bhi aksar,
Baraf ki aag si ban kar,
Hamesha saath rehti hai,
Hamesha saath rehti hai,
Teri khushboo meri Jaana,
Teri Laafaniyyat ban kar,
Hamesha saath rehti hai,
Hamesha saath rehti hai,
Ye sab Iqraar hai Jaana
Ke tu her saans ki Maanind
Hamesha Saath rehti hai,
Hamesha saath rehti hai, |