Quote:
Originally Posted by piyaari_larki wah bohat hi zabar10 keep it up aap ki poetry par kar socha main kyun chup rahon lol.itz ma own poetry i hope aap logon ko pasand aaygi..
yeh fasalon ki saleeb giray
tum aaoo kabhi to yaqeen milay
meray dar-o-dewar ki khamoshiyany
yeh intezar-o-ratjagay
barishoon ki bond main
aaso oon ki baar se
mera ishq jo kab se qaad hai
usay aahatoon ka gumaan jo ho
meray khuaab ko rehai milay
tum aaoo kabhi to yaqeen milay... |
Aray wah....aap to mashaAllah khud itna achcha kehti hain....bohot achcha khayal aur bohot khubsoorat andaz-e-bayan hai. Bas zara technical problems hain. Unke liye forum Mehroo sahiba se rujoo karen.