Quote:
Originally Posted by Saraabs Aai dard ki shiddat tu hi bata, us pyaar ka alam kia hoga Jab hijr qayamat jaisa hai, iqraar ka alam kia hoga be-deed hueen jab se aankhen, benoor hueen, paththar thehreen Aai dekhne wale soch zara, deedaar ka alam kia hoga Jab lafz halaq main ghut'te the, jab saans qayamat chalti thi Awwal Awwal, is shorish ke, izhaar ka alam kia hoga Dil per jo qayamat guzri hai, uska to ise kuch hosh nahin Isko to yahi gham rehta hai, dildaar ka alam kia hoga Is teergi-e-ehsaas main bhi, hai jiska tasawwur chaand-numaa Tum khud hi samajh lo, us rukh ke anwaar ka alam kia hoga Jis shakhs ki aankhon ki wehshat, paththar ko hilae deti hai Us wehshi-e-gham ke khoon afshaan, ash'aar ka alam kia hoga Tu ne to Saraab apne gham ko, khud apni khushi se paala hai Gham se jo teri yaari thehri, ghamkhwaar ka alam kia hoga |
adaab.
kaise hain aap... apne khiyaal ka izhaar karne se peshtar mein ne baqi dostoon ke khiyalaat bi parhe ... yeh deekh ke acha nahin laga ke yahan dostoon ki kissi ghalti ya khaami pe na to tooka jata hai aur na hi tashi ki jaati hai...zubaan ki tamaam khamiyoun awzaan ki aglaat aur diction ki khamiyoon pe bi daad di jaati hai .... yeh baat dil rakhne ko to theek hai lekon is tara to kabhi dostoon ki isslah nahin ho sake gi..... yahan is forum mein mehro... zain...atif aur doosre bahout se acha shohra aur shairaat mojoud hain un se guzarish hai ke apna yeh tarz e amal badal ke ache likhne waloon ko un ki khamiyoon se agah kareen ta ke un ki fikar ko balughat mil sake......
mein aap se bi guzarish karoonga ke in sathiyoon se mashwra mangeen
jab hijr qayamat jaisa hai iqraar ka aalam kya ho ga.........
jab aap ne pehle hijr bandha hai to iqraar ka hijr se kya tahaluq bana.... haan agar aap inkaar qayamat jaisa hai ikraar ka alam bandhte to sahi tha...
ae dard ki shiddat tu hi bata us pyaar ka alam kya ho ga........yeh misra istehfamiya tha doosre misre mein jawaab aata to theek tha
aap ke khiyaal ka husn apni jaga qayam hai lekon khiyaal ke izhaar ke liye jo misre likhe gaye un mein tasalsal aur rabt ki kammi hai...
mere in ilfaaz se agar aap ke jazbaat ko thees poonche to muje muaf kijiye ga lekon muje yakeen hai jab aap khud ghoor kareen gay aur socheen gay to aane waale naye din aap ko meri baat achi lage gi..
aap ka mukhlis aur dua goo
irshad qamar phd. urdu/arabic/persian
amsterdam holland
email.qamar94@gmail. com