
08-22-2007, 03:57 PM
|
 | Jheel si aankhaiN | | | Join Date: Jan 2005 Location: Jheel kinaaray
Posts: 35,692
Thanks: 223
Thanked 112 Times in 99 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 3972 | |
Raye shumari baraye muqabla-e-nazm goi... | | 
is maah muqablay k liye jo mozu muntakhib kia gaya...woh hai ;
~Aazadi~
humaisha ki tarah is martaba bhi bohat say mu'aziz sathiyoN ne apni khubsoorat kawishat k sath muqablay maiN shirkat ki...hum unke shukr guzar haiN...1.gif)
nataij ka ailan judges ke mushtarka faislay par mabni hoga...judges say guzarish hai k woh 31st Aug. tak humaiN apne faislay say agah kar daiN...judges har kawish ko 1-10 tak marks day saktay haiN...aakhir maiN tamam marks ko jama kar k hatmi nataaij ka ailan kia jayega..
humaray Mohtaram judges k naam darj-e-zail haiN;
(Zain, Kanch ki Mehroo, WanderingThoughts, Sohail Malik, Mehtab, saahir)
Evalutaion ka criteria yeh hai;
Andaz-e-beyan (rawani, alfaz ka ista'amal, takhayyul) = 5
mozu = 5
total marks = 10
muqablay maiN shamil nazmaiN yeh haiN: 1 : Ather29
HER IK FARD HAI PAKISTAN
QADAM BARHAO...... HATH MILAO
PAKISTAN BANTAY JAO
HER IK FARD HAI PAKISTAN
PAKISTAN KI HUM PEHCHAAN
PAKISTAN HAMARI JAAN
HER IK FARD HAI PAKISTAN
WAQT HAI KATHIN
CHAHIYE JANON
MULK O QOAM KO
AAO KAR DEIN SURKHURU
BHARHAYEIN APNAY WATAN KI SHAAN
HER IK FARD HAI PAKISTAN
MANZIL KI JUSTAJU
DIL MEIN HUM RAKHEIN
MEHNAT KAREIN SABHI
MAZA JEET KA CHAKHEIN
KAREIN TASKHEER HER MAIDAAN
HER IK FARD HAI PAKISTAN
PAKISTAN KI HUM PEHCHAAN
PAKISTAN HAMARI JAN
HER IK FARD HAI PAKISTAN
------------------------------------------------------- 2 : Qamar94 
------------------------------------------------------- 3 : Ali4everfriend 
------------------------------------------------------- 4: CHISTHY1
Salam Pakistan Salam Pakistan
Tujhi se hain hum sab tujhi se hai pehchan
Salam pakistan salam pakistan
Yeh ronaqein sari tere hi damm se hain
Yeh tere sab jalwe janam janam se hain
Khuda tujhe rakhe baharon ka unwaan
Salam pakistan salam pakistan
Woh Quaid-e-azam woh maadr-e-millat
Woh shayer-e-mashriq woh quaid-e-millat
Salam ho unper jo hogaye qurbaan
Salam pakistan salam pakistan
Teri fiza'on mein jo saans lete hain
Tujhi pe jeete hain tujhi pe marte hain
Tere hain sab tere tu sab ka dilbar jaan
Salam pakistan salam pakistan
Humari azadi ka hai tu hi mahoor hai
Woh jiska hum qatra tu woh samander hai
Sada rahe jal thal sada charhe parwaan
Salam pakistan salam pakistan
Tere yeh sab shayer tere maghni hai
Yeh aabadi yeh sab teri phaban bhi hain
Yeh saaz yeh naghmein tere hain aey dil jaan
Salam pakistan salam pakistan
------------------------------------------------------- 5 : frantic. hectic
Hum azzad qoom hain....
yeah jantay huey bhi na janay
kin azzadyon k chakaron mein
phans gaey hain
hum apnay culture or apni tahzeeb ko bhula kar
namaloom dharoon mein bah rahay hain
aur apni pahchaan ko
apni qoomi zubaan ko hum
bhula rahay hain
nai saqafat ,nai tahzeeb k ghaoo is per laga rahay hain
hum apnay mazhab se door ho kar
jadeedyat ka pahan k chola
nafs ka daman bhartay ja rahay hain
zameeron ko behissi kay libaday pehna rahay hain
hum apnay jazboon ko munafiqat k
acid mein dabo kar
masakh kar rahay hain
jala rahay hain
aur khotay lahjoon se aysay jazbay chupa rahay hain
hum apnay markaz se door ho kar
nai manzil bana rahay hain
andhairi rahon mein roshnee k
chiraagh khud hi bujha rahay hain
tamam rangoon ko khud hi madham bana rahay hain
aur apnay shaoor ko aaghi ko
thapak thapak kar sula rahay hain
hum khud hi rangeenyat k ghulaam ban kar
rasm-e-dunya nibha rahay hain
azzad urano ko bhool kar ham
khud hi pinjron ko ja rahay hain
yeah kia hua k hum
apna mazi bhula rahay hain
kachi bunyadon se
naey gharonday bana rahay hain
kia yeah sahi hai k
apnay hathon se nanhay poodon ko zehreela pani pila rahay hain
hum un ko ujray mahool ka qaidi bana rahay hain
jehan hawa mein
badeesi sazishoon k virius mundla rahay hain
har amal-e-tanafus k bad
lahu mein shamil ho k namu pa rahay hain
hamein mahool ka aadi bana rahay hain....
haan aaj phir 'YOM-E-AAZADI' hai
aue meri sochain
sissak rahi hain
k yeah 'REALITY SHOW' kab tak chalay ga ?????
------------------------------------------------------- 6 : Zeneya 
------------------------------------------------------- 7 : silent_wishes
AY M'RE ARZ - E - WATAN
thaa qyaamat thoo rhay azaaD ay arz – e – watan
teraa har gosha rhay abaaD ay arz – e – watan
paak hai mitti t’ri iss maiN shahiidoN ka hai khooN
Teri sarhad ke hifazat maiN m’re dil ka s’kooN
naam se tere m’ri iss dehR maiN pehchaan hai
tuj pe apni jaan warooN ye m’ra eemaan hai
maiN j’haaN jaooN wahii roshan t’ra hii naam ho
pasbaaN hooN maiN t’ra, teri hifazat kaam ho
aasmaaN tak naam tera dehR maiN ooNchaa rhay
ay watan , ay dais tera har jaga charchaa rhay
ay watan teri b’qa maiN hai asal meri b’qa
tuj pe mere paak ALLAH ka rhay sayaa sadaa
------------------------------------------------------- sab se guzarish hai k Judges k ilawa koi aur member is thread maiN post na karay, Judges k ilawa koi bhi post delete kar di jaye gi.
bohat shukriya
khush rahiye HG Intazamiya.
__________________ 
.
.
.
Mere dil.. Mere musaafir..! |