janab...achi ghazal kahi aapne...ap maiN likhnay ki salahyataN haiN...mashq jari rakhiye...inshAllah mazeed nikhaar aata jayega...
apke PM ka jawab bhi yaheeN diye daiti hooN.. taakay deegar members bhi istafada hasil kar sakaiN..
daikhiye...wazan ka masla to musalsal mashq say hi hal ho sakta hai... likhna jari rakhiye...ustad sho'ra ka kalaam parhiye... pehlay aasan zameenaiN muntakhib kijiye ghazal kehnay k liye... choti behr maiN kahiye...phir darja ba darja agay barhtay jaaiye...aik martaba jab kuch rawani aa jaye to taqti seekhiye...k wazan kaisay nikaala jata hai... is tarah aik waqt aayega jab aap khud is qabil ho jayeN gay k daikhtay hi bata sakaiN k aaya koi misra/shair wazan maiN hai ya nahiN... mazeed madad k liye yahaN maine jo tutorials ki thread lagai hai...usay parhiye...
baqi... Mods humaisha apki madad k liye mojood haiN...
khush rahiye