umda janab...bohat umda khayal hai.. lekin agar ap is rubai ko aisay kar laiN ;
aah itnay bhi marasim na barhaye koi
aankh bhar aaye k jab hath churaye koi
jan dainay maiN koi aar nahiN hai lekin..
kash kuch dair talak sath nibhaye koi...
to wazan ka masla bhi khatam ho jayega..
khush rahiye