Na badnaam ho tu mera ho ker | | Ma qehr aalood ujaalon se chhup ker
naqoosh-e-manzil sar-e-shaam talaashta hoon
Ma qafs-e-nafs-o-jaan' se cut ker
peyker-e-khudi to taraashta hoon
Ma vehshaton kay sehraa' ma kho ker
lab-e-dasht khud ko pukaarta hoon
Raah-e-ishq ma aabla paa ho ker
ma johar-e-manzil ko lalkaarta hoon
Us kay tassawwur ki chaap sun ker
dil o jaan' ke dar-o-baam sanwaarta hoon
Khusboo hoti mohabbaton ma bas ker
ma jism o wajdaan ko nikhaarta hoon
Ma naaqib e wafa se bicher ker
khud apney saaey se bhaagta hoon
Na badnaam ho tu mera ho kar
bas itni si wafa maangta hoon
Ahsan Akbar |