Quote:
Originally Posted by saahir kiya baat hay,,waah waah waah,kiya kahnay hain huzoor,,subhan ALLAH,, meri aarzo ka naseeb too meri iltija teri guftugo rahon na rasa to gila nahi mujhay apnay ishq pe naaz hay is shair nay ghumadiya,,khas kr pehla misra ,,meri iltija teri guftugo,,kiya kahnay hain,,,aap ka mansab aisa hay kay mujhay to daad daynay ki bhi majaal nahi hoti,,,, dosray shair main ghammaz hay ya ghamaz hay? duaon main yaad rakhiye ga |
saahir bhai kaisay mizaaj haiN
ghazal aap ko pasand ayi to yeh aap ka hi husn e nazer hay
aap kay purkhulus jazbaat per mamnun huN
ghammaz wali aap ki baat Theek hay, meray zehn maiN hay keh yeh baghair tashdeed kay bhi mustamil hay laikin filhaal koi hawala saamany nahiN hay.
chunkeh us sher maiN aik aadh aur masaala bhi tha is liay usay tabdeel hi ker dia hay.
khush rehihay
wassalam
sohail malik