Re: ::::Yeah Din Rat Milna::::: | | Yasir Sahib aap kay kalam maiN zubaan aur bayan ki kuch buniyadi ghaletiaN haiN un per mehnet ker kay unhaiN dur kernay ki koshish kijiay.
aap ki ghazal maiN buniyaadi mosiqiet aur rawani ka fuqdaan hay
aap ki ghazal maiN alfaaz akser ghalet istemaal huay haiN. maClan gawara, shumarah, sanwarah, isteaarah, sahara... yeh alfaaz ya to ghalet imla kay saath aye haiN ya ghalet mafhoom ya ghalet terkeeb maiN. achai shaeri kay liay sab say pehlay zuban ki buniyaadi ghaltiaN dur honi chahihaiN. phir behr aur rawani ki darustegi.
ager aap sanjeedgi say koshish keraiN gay to yaqeenan behteri ho gi. is bazm maiN kai dostoN nay jo shru maiN ghaltioN say bharpur shaeri kertay thay is hed tek behteri ker li hay keh ab woh bharpur shaeri kernay lagay haiN.
wassalam
sohail malik
__________________ Sohail Malik |