Re: raa'y shumari bra'y muqabla-e-nazm goi (June 07) | | Assalam o alaekum
pehlay to maiN aendah kay liay kuch tajaweez dena chahuN ga
1. behter ho ga keh nazem goi kay muqabilay kay liay pehlay hi yeh faisla ker dia jaey keh nazem aazad ho gi ya pabend.
2. ashaar ya lines ki ziada say ziada taadad per bhi pabendi lagai jaey aur meray khayal maiN ghazal maiN 8 ashaar, paband nazem maiN isaay 20 miSroN aur azad nazm maiN 20 lines tek mehdud rekhna chahihay. Is pabendi say shuara ko kam alfaaz maiN apna mafhuM bayan kernay ki terbiet bhi mil sakay gi.
3. marking system maiN 4 attributes per number dainay chahihaiN
a. saakht (qafia radeef ka ehtemaam, wazen ka khayal...ghazal aur pabend nazem maiN) ( rawani ... azaad nazem maiN)
b. andaz e bayan (yeni bayan ki khubsureti)
c. perwaaz e takhayyal
d. mozu say insaaf(nazem maiN)
is muqabilay kay liay marking (rawani + mozu)
1. 2+2 = 4
2. 3+3 = 6
3. 4+4 = 8
4. 4+4.5= 8.5
5. 4.5+3.5= 8
6. 3+3 = 6
7. 3.5+2.5 =6
8 3.5+4 =7
9. 3.5+3 =6.5
sab shurakaa e muqabilah kay liay nek khwahishaat
sohail malik
__________________ Sohail Malik |