Re: Jis gul ka bun ke khar nigabahn raha houn main | | Sooli pe charh ke theek hi mansoor ne kaha
Maqtal main khoon se likh diya yazdahn raha houn main
Un ko sulla ke payar ke phooloun ke baagh mein
Raanjhe ki tarah dasht mein gerdahn raha houn main
Pather ko jis ke lams ne goher bana diya
Kha kha ke us ki thokrain nadahn raha houn main
Mangain ge Gibrael bhi junnut khuda se phir
Ye keh ke ehl-e- bait ka derbahn raha houn main
wah ...wahh....kia zabar dast likha aap ne aur in teen shairoN k khiyalaat to is qadar mufarid aur shandar hain k bar bar perhnay ko ji chahta hai likhtay rahain ...khush rahin...mazeed ka intizar rahay ga...
__________________ Ab os k baad laga DiL to DiL lagi hogi
Hum os pe apni mohabt tamaam kr aaye...! |