View Single Post
  #25  
Old 05-29-2007, 06:51 PM
safeena's Avatar
safeena safeena is offline
Senior Member
 
Join Date: Aug 2003
Posts: 292

Country:

Tutorials: 0

Thanks: 0
Thanked 2 Times in 2 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts
TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 196
safeena is on a distinguished road
Default Re: ~Hina ka Rang Jaisay Aarzi ho~

Quote:
Originally Posted by zain View Post
Walekum Aslam,
arrey naheen bhaahi,aesi bi koyi baat naheen hai,ham sab yahaan seekhney ke liye aatey hain,aor koshish kartey hain ke aek doosarey se kuchh seekha jaaye,aor jo ham jaantey hain woh doosaron ko bataaya jaaye,kiyoon ke bad qismati se ham main se aksar sirf apne shoq hi ki bina par qalam uthaatey hain,aor un ko koyi bhi baaqaaida sikhaaney waala naheen,(main ne bhi jo seekha,yaheen,issi foram main,inhi doston se seekha),...so umeed karta hoon ke aap bhi hamaarey saath is kaam main aagey aayain ge,
jahaan tak aap ki is ghazal ki baat hai to yeh aap hi ki thi,aor aap hi ki hai,.....choonke ghazal waaqayi bahot khoobsurat thi,..is liye us main mujhey jo,do aek khaamiyaan nazar aayain,mujh se nazarandaaz na ho sakeen,



naheen,us misrey ki wajah se sher ka husn maand par raha tha,to socha ke jab yeh khoobsurat ho sakta hai,to kiyoon na koshish ki jaaye,aap ka shukriya ke aap ne,merey alfaaz ko maan diya,..wesey yeh sirf aek tajweez thi,



naheen kher,aap ke liye itna bhi mushkil kaam naheen hai yeh,phir bhi agar aap chaahain to main aap ki madad karney ke liye haazir hoon,,aap chaahain to mujh se PM ya YAHOO/MSN ke zariye raabata kar saktey hain,mujhey khushi ho gi agar main aap ke kissi bhi kaam aa saka to,



arrey naheen yaar,is andaaz main naheen sochtey,....mujhey aek chhoti si baat ka jawaab dain,kaya yeh achha hota ke aap apni har takhleeq main yahi ghaltiyaan dohraatey rehtey? ya yeh achha hai ke aap ki aainda likhi jaaney waali tehreerain ghaltion aor khaamiyon se paak hon?
bahot khush rahiye,shaad o aabaad rahiye,
Salam Zain,

Appka mesg parh kay bara sukoon mila, khair jo batein mein nay likh deen theen wo sirf yoon hi likh deen theen, inshaAllah jaisay hi waqt mila to app say chat par kuch batein poochon ga.

Aur haan please meri mails dekh kar yeh bilkul mat samjhiye ga kay muhjay app logon ka ghalatiyaan pakarna accha nahee laga, bhai mein to bayhud khush hoon kam say kam agar kisi aur kay samnay parhoon ga to ghalation say to mubbarrra hogee na meri ghazal. so please aaindaa bhee yoon hi rah numaaii kartay rahiye ga app log.

Baat to appki theek hai kay, accha hai kuch seekh lein takay aagay ghalati na ho, meri koshish hogee ka agli ghazal mein iss say kam khamiyaan hoon. App ka bohat bohat shukriya, inshaAllah "Ali" nay corrections keen hein wo bhee update kar doon ga.

Maa'asalam

Raza
__________________

MujhKo Meray Afkaar kay Aainay mein dekho
Qirtaas kay Dhabbay meri pehchaan nahi hen

Sahir Faizabadi
Reply With Quote