Quote:
Originally Posted by WanderingThoughts  ab esi bhi koi bat nahi sahab!
sab ko aap ki ghazal pasand aaei hy, aur ye jo corrections haiN, ye bhi hamara piar aur khuloos zahir krti haiN... ager aap ko mushkil nai laga to aap ka baRa pan hy, mujhy to kuch kuch mushkil lag raha tha...
ary nahi yar, nikalna kyuN hy, aap masha'Alla ba'salahiat haiN,... is sher ko qabu kijiay.... Allah Mola aap ko kamyab kry,....
to jnab misry ko itny paich-o-kham ne deN, aasan sa kr deN, jesy:
"Khirad waa'da-e-farda pr hy raazi"
aur aap ko to malum ho ga k adabi satah kr wazn ki ghalati kisi surat qubool nahi ki jati....
Jnab ager is safar meiN koi raah'ber mil ja'y to wary niary ho jaty haiN... mahinoN ka safar dinoN meiN aur dinoN ka safar ghantoN meiN tay ho jata hy. wesy mera to khyaal tha k aap already kisi ustad se faiz'yaab hoN gy... |
Baad az aadaab o tasleemat,
Jawab bohat khoobsorat laga, pehlay to ispar daad qubool kijeh.
Bay shak is koi shuba nahee kay app logon ki mohbbat hai jo itni arq-raizi kartay hein, humein samjhanay kay liye.
Theek hai janab koshish karta hoon kay iss shair ko qabo karon. aur "khirad" wala misra bhee change kar doon ga,
Jee haan sahee farmaya app nay wazn ki ghalati qabil-e-qubool bilkul bhee nahee hai, mein apni ghalati manta hoon.
Nahee janab app ghalat samjhein hein, mein nay kisi ustaad ki suhbat mein aaj tak waqat nahee guzara aur itni saari ghalation ki waja yahee cheez hai shayad.
waisay itni saari tabdeelion kay baad meri ghazal to kaheen kho gaee hai
Aik baar phir app ka bayhud shukriya, khush rahiye
regards,
Raza