Quote:
Originally Posted by safeena Salam,
Sab say pehlay to Ghazal ko pasand karnay kay liye bohat shukriya, kion kay mujhay abhee tak shukriya ada karna kay moqa zara kamm mila hai iss ghazal kay hawalay say, dosray yeh kay qaafia to mujhay mushkil nahee laga mein nay to aasaan samajh kay hi choose kia tha. |

ab esi bhi koi bat nahi sahab!
sab ko aap ki ghazal pasand aaei hy, aur ye jo corrections haiN, ye bhi hamara piar aur khuloos zahir krti haiN... ager aap ko mushkil nai laga to aap ka baRa pan hy, mujhy to kuch kuch mushkil lag raha tha...
Quote:
Originally Posted by safeena Bhai itifaaq keh lein ya kuch bhee jo jo ghalatian app nay bataeen hein wo mujhay pehlay say maloom hein, mein khud bhee soch raha tha kay "bandagi" wala shair nikaal hi doon phir mein nay chor dia kay waisay hi ashaar kam hein. |
ary nahi yar, nikalna kyuN hy, aap masha'Alla ba'salahiat haiN,... is sher ko qabu kijiay.... Allah Mola aap ko kamyab kry,....
Quote:
Originally Posted by safeena khirad raazi ba wada-e-fardaa wali baat bhee sahee hai, wazn kam hai, mein nay pehlay misra ko yoon kaha tha "khird ha raazi ba wada-e-farda" laikin iss say misray ki khoobsoorti khatam ho rahee thee, mein nay socha kay bina "ha" kay hi kaam chala loon, app bataiye kia kiya jaye. |
to jnab misry ko itny paich-o-kham ne deN, aasan sa kr deN, jesy:
"Khirad waa'da-e-farda
pr hy raazi"
aur aap ko to malum ho ga k adabi satah kr wazn ki ghalati kisi surat qubool nahi ki jati....
Quote:
Originally Posted by safeena Accha hoa app nay "zaal" aur "zay" wali baat bata dee warna to mein nay ghor hi nahee kia tha, asal mein phonatic keyboard mein dono hi "Z" say type hotay hein, buss isi liye mistake ho gaee.
Waisay mein soch raha hoon kay kisi ustaad kay paaas 1 adh maheena laga hee loon, warna to meri harr ghazal mein mistakes zaror niklein gee aur mein kab tak islaah par kaam chalata rahoon ga.
Raza |
Jnab ager is safar meiN koi raah'ber mil ja'y to wary niary ho jaty haiN... mahinoN ka safar dinoN meiN aur dinoN ka safar ghantoN meiN tay ho jata hy. wesy mera to khyaal tha k aap already kisi ustad se faiz'yaab hoN gy...