View Single Post
  #19  
Old 05-29-2007, 10:32 AM
safeena's Avatar
safeena safeena is offline
Senior Member
 
Join Date: Aug 2003
Posts: 299

Country:

Tutorials: 0

Thanks: 0
Thanked 4 Times in 4 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts
TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 202
safeena is on a distinguished road
Default Re: ~Hina ka Rang Jaisay Aarzi ho~

Quote:
Originally Posted by zain View Post
waslaam,
aap ki baat par sirf itna kahoon ga ke..bhaahi yeh koyi achhi aadat naheen,.taqtee ka koyi aek tareeqa apna lijiye,
hain......meri bataayi huyi tabdiliyaan kahaan hain bhaahi,yeh to aadhi meri bataayi huyi hain,lekin baaqi..........-:?
aor jis shair ka aap ne misra tabdeel kiya hai,agar us ko yoon kaha jaaye ke....


the ham donon hi chup, lekin dua hai
jo dil ki thi sada, dil ne suni ho


to kesa rahey ga,-:?.......bas aek raaye hai,baaqi aap behtar soch saktey hain,
bahot khush rahiye,

Salam,

Bhai saheb, meri ghalati hai mein manta hoon laikin ab poori appki wali kar dee hai, shair bhee poora badal dia hai, yaar thori bohat islaah kay baad to mein phir bhee keh sakta tha kay yeh ghazal meri hai, laikin bhai ab to yeh ghazal app ki ho gaee hai, so agar chahein to lay liejh ga mujhay koi aitraaz nahee hoga, kion kay itni mehnat to iss par mein nay khud bhee nahee ki thee jitni app nay.


waisay jo misra mein na badla tha wo sahee nahee tha kia?? :(

yaar masla yeh hai kay taqtee seekhnay ki koshish to ki hai, parh parh kay laikin jab tak koi mujhay samnay beth kay nahee samjhaye ga aik dafa meri naqis aqal mein aanay wala kaam nahee hai yeh.

Waisay sachee baat bataoon itni saari ghalation kay baad to mujhay khud hee buray lagnay lagee hai yeh ghazal.

Raza Alam
__________________

MujhKo Meray Afkaar kay Aainay mein dekho
Qirtaas kay Dhabbay meri pehchaan nahi hen

Sahir Faizabadi
Reply With Quote