Quote:
Originally Posted by WanderingThoughts As-Salam-o-Alaikum dosto! kuch arsa pelay aik ghazal hui thi, aj ap k samny pesh hy... parhi'ay aur tabsara fermaai'ay... :::: in roman :::: gham sabhi apny ro gai awaaz, chup ka daaman bhigo gai awaaz shor hy khaamshi k aangan maiN, beij kesy ye bo gai aawaz ruk ga'ay qaaflay, tehar gai shaam thak ga'ay herf so sai aawaz mery kuch bolnay se pehlay hi, us ki janib ki ho gai aawaz lo ga'ay hambhi kaam se aakhir, ye gya hosh wo gai aawaz zalzaloN ki tabah'kaari miaN jany kis kis ki so gai aawaz muntazar kab kisi ki thi Faizan us ko jana tha, so gai aawaz... :::: :::: :::: :::: Allah Mola aap sab ko shaad-o-aabad rakhy... |
w/salam..
zabardast hay Faizan bhai... aap manaiN ya na manaiN.. ye ghazal mein nay ussi waqt parh li thi jab aap nay post ki thi.. laikin comments denay ka waqt nahiN mil saka...
buhat hi shandaaar kawish hay... mera zati khayal hay k iss radeef ko nibhana kafi mushkil raha hoga... laikin aap nay ba khoobi ye marhala sar anjaam dey liya.... buhat buhat mubarak baad qabool kijye....
Wassalam