Re: jaane dil_vaaloN pe is daur meN kia guzregii!...merii ek Ghazal | | Quote:
Originally Posted by sajal Buhat Khoob janab aik aur umdah ghazal aap ki taraf say parhnay ko mili aur buhat kuch seekhnay ko
Regards
Samra | salaam sajal saaHiba, aapkii dada o taHseen ke liye maiN be_Had shukr-guzaar huuN aur aapkii Hausalah-afzaaii baa'is-e-sad iftiKhaar o masarrat hai. maiN aapkaa mamnoon huuN _______BB
__________________ Khayaal hogaa, junuun hogaa, bahot abhii dil kaa Khoon hogaa bahaar hai door kii Haqeeqat, bahaar rang-e-chaman nahiiN hai Ali Z. Usmani [mere vaalid marHoom] |