
02-12-2007, 09:11 AM
|
 | sad~sad | | | Join Date: Jun 2006 Location: Islamabad
Posts: 7,253
Country: Tutorials:
0 My Mood: Thanks: 1,639
Thanked 676 Times in 488 Posts
Nominated 25 Times in 13 Posts TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 1823 | |
Re: Na'jany kya se kya hoty ga'ay haiN.... | | Quote:
Originally Posted by saahir hmm..wah faizi,,boht umda kawish hay..boht maazrat k main wqt nahi day pa raha is liye coments main taakheer hogae,, faizi is ghazal main tum ny daaira tora hy or ye tumharay andaz say kuch juda rahi hy..taghazzul bherpoor raha hy kuch arz keronga faizi..faizi main bahr or wazan ki baat to nahi krta,,,cuz main tum logon k paimanay say muttafiq nahi hon.. laikin ye kawish mujh boht achi lagi... ghubar e rah bani hain kah kashaain sitary naqsh e pa hotay gaaiy hain hasil ghazal shar raha faizi khiyal k baad lafziyaat ki ahmiyet hoti hy..is ghazal main ager tum lafziyat ka theek istamal kr jatay to lutf dobala hojata..misaal k tor pr hotay ki radeef say taghazzul mutasir ho raha hy wo aisay aashna ho gaiy hain meri naqis raaiy ye hy k tay nikalny say taghazzul barh raha hy aik or misra daikho meri wuqaat hi kiya hay us kay aagay is main jab ki jaga hay aanay say taghazzul barhta hy(ye sirf mera khiyal hy) isi terha ,,waqtan fa waqtan..ki trkeeb pr ghor kero... faizi tum drust simt pr chal paray ho.....sada khush raho1.gif) | Saahir Bhai bohat mashkur huN k aap ne waqt nikaala aur meri ghazal pr tabsara kiya... ap ko ghazal pasand aai, bohat shukria, aik bat pochna chahuN ga k aap is wazn aur behr k paimany se kyuN mut'tafiq nahi haiN... jahaN tak radeef pr tanqeed ki bat hy to mera khyaal hy k ye radeef (hoty ga'ay haiN) waqt k sath sath tabdeel hony waly jazbaat-o-waqiat ki taraf ishara krti hy... "meri wuqaat hi kiya jab us kay aagay" mera khyaal hy is misry maiN "jab" ki baja'ay "hay" lagany se sher k dono misroN maiN koi taaluq nahi rahy ga... meri wuqaat hi kiya hay us kay aagay samunder bhi hawa hoty ga'ay haiN... wesy aap ka ishara bhi durust hy maiN dobara is sher pr ghor kruN ga..
__________________
-------------------------------------------------
Bedil libaas-e-zeest bohat deeda-zeb tha
aur ham ne is libaas ko ulTa pehan liya...
(Bedil Haidri) |