meray maalik may teri janib ayaa hoon | | Aslam o alikum to all pta nahi yeh nazam hai ya kuch aur bus jo meray zahen may ayaa may nay likh diya umeed hai aap ko pasand aye ga meray maalik may teri janib aya hoon duniya nay thukriya muj ko tora aur rulaya muj ko nudamut k hain saray aansoo jhoaliaan bher bher laya hoon meray maalik may teri janib aya hoon tera rusta chore k may nay guli guli butkaya khud ko itna kub bura tha may jitna khud giraya khud ko teri raza say meri husti werna may bay maya hoon meray maalik may teri janib aya hoon muj ko ruswa ker gyee mohubbat kitnee susti chahat thi khud ko baich k socha may nay kia yeh hi bus meri keemat thi tu nay izzat bukhshi muj ko may zillat kuma ker laya hoon mera maalik may teri janib aya hoon zakhumi rooh per bhoj liye phr teray der pay aa k perra hoon ik nazer bus us k sadkay jis ki ummet may khurra hoon apni punah may rukhna muj ko duniya say ghubraya hoon meray maalik may teri janib aya hoon
Last edited by aas awan; 01-24-2007 at 02:31 PM.
Reason: spelling
|