is martaba muqabla-e-nazam goi ke liye jo unwan diya gaya tha...woh tha "bahaar"...hum un sab sho'ra ke shukar guzar haiN jinhoN ne bharpoor tareeqay say muqablay maiN shirkat ki...aur apni khubsooorat tahareer hum sab ke sath share keeN...
jaisa ke aap sab ko ilm hai ke muqablay ke nataaij ka ailaan judges ke mushtarka faislay par mabni hoga...Judges say guzarish hai ke woh 31st January tak is thread maiN apne faislay say aagah karaiN...judges har nazam ko 1-10 tak marks daiNgay..aur aakhir maiN tamaam judges ke diye gaye marks ko jama kar ke hatmi nataaij ka ailaan kia jayega...
judges ke naam darj-e-zail haiN:
(Ankaboot, Aik Lamha, Kanch ki mehroo, Zain, WanderingThoughts, Mehtab )
Evalutaion ka criteria yeh hai
Andaz-e-beyan (5 marks) (rawani, alfaz ka ista'amal, takhayyul)
mozu (5 marks)
total marks = 10
tamam judges k diye huway score ka ausat asal score hoga...
muqablay maiN shamil nazmaiN yeh haiN:
1: Ragni
Chaloo ik EHD-e-WAFA karain
Samjhootoon ko chor kar
Jiney ki baat karain
Aankhoon mein aai nami k pichey
Hulkarey laeiti sharat kehti hae
Chaloo ik EDH-e-WAFA karain
Khuwahishoon k samandar mein
Umangoon ki baat karain
Surajh ki tabandgi mein
Chand sitaroon ki baat karain
DUKHOON mein duobey aarmaan mein
Hontoon mein dabi muskaan kehti hae
Chaloo ik EHD-e-WAFA karain
BAHAROON ki Khizaan rut mein
Ziyst k taptey sehrah mein
Dosti ki phuwaar krain
Nafrat k ess jahaan mein
Khushiyoon ka jahaan kehta hae
Chaloo EHD-e-WAFA karain
Chor k chaley janey waloon k liey
Mill janey ki DUA karain
Maar k bi na bicherian
Ab dost Haq-e-Dosti kehti hae
Chaloo ik EHD-e-WAFA karain
2: Miss Naqvi
“Zindagi aur Bahar”
Ik zara si chah main,
Waqt ki nigha main,
Dasht bhari raah main,
Khud ko hum bhula baithey,
Badloon si raw-ish apna baithey,
Phuul tu khila daaley,
Ansoon bhi baha daaley,
Per mun kay uljhey taroon ko
Dil pay lagay waroon ko
q-ker mita paain gay…?
Kaisay unhain chupaain gay..?
Per yeh umeed jo daamun-geer hay,
Khawishoon main raqam naiye masumoon ki jo tasveer hay,
Amad-e-bahaar ka paigham sunnati howi,
Hathoon ki lakeero main chuppi jo taqdeer hay,
Sunharey lamhoon ka ishara kerti howi,
Masoom si jo tehreer hay,
Ussay khojney ko chal niklay,
Ussi khooj ki raah main,
Ik sabaq khuub seekha,
Zindagi ko paaney main
Bahaar ko bulaney main
Khizaa-n jhailni parti hay,
Sard rawwion say niklo tu,
Tapti garmi jhailni parti hay,
Ik zara si chah main
Dil say aabgeenay ko khusion say sajaney ko,
Mahtaab bananey ko,
Jaa lutaani parti hay.
3: Kanwal Hussain
khush rahiye
HG Administration
Note: Aap tamam sathiyoN se guzarish hay kay iss thread meiN post na kijiye... Judges k ilawa kisi bhi member ki post delete kerdi jaye gi...