sorry ... kafi late ho gaye hum...humara net dagha day gaya tha...wagarna hum to sab likh chukay thay...
Zain:
bohat achay...bohat khubsoorat ghazal kahi aapne...behar ke to yaqeenan 4 marks pooray hi apke huwe... ghazal bhi humaiN bohat achi lagi...andaz-e-bayaaN ... alfaz ka chunao... bhi khoob raha... 4.5 ...
to total huwe 4+4.5 = 8.5.
lucky libra:
Hussain(RA) ban ke aa gaya jo ishq dosto
naizay pe bhi talawat-e-Quraan kar gaya
bhaeee wahhh.... ghazal ka khayal to bohat acha hai...kuch ashar to bohat hi ziada khubsoorat haiN...magar....aksa r ash'ar behar say kharij haiN... aur ghazal behar ke hawalay say tawajja talab hai... behar ke apko miltay haiN 2 marks... andaz-e-bayaN aur alfaz ke chunao ke liye apko miltay haiN...4....
total marks...2+4 = 6
Sahir:
bohat khooob... apki ghazal bhi yaqeenan bohat khoob rahi...behar ke to apke huwe pooray 4... andaz-e-bayaN...aur alfaz ka chunao bhi dilkash raha...so iske liye ... 4.5....
total.... 4+4.5 = 8.5
Pehli barish:
apki ghazal bhi khubsoorat rahi....lutf aaya parh kar...magar 1 2 misroN maiN mujhe behar ke hawalay say kami mehsoos huwi...behar ke 3 marks....andaz-e-bayaN waghaira ke apko miltay haiN....3.5
total..... 3+3.5 = 6.5
Kanwal Hussain:
wahhh..bohat achi ghazal kahi Kanwal apne...behar ke 3.5... andaz-e-bayaN bhi khoob raha... iske liye apko miltay haiN....4.5...
total.... 3.5+4.5 = 8
Asif Shehzad:
Asif apki ghazal bhi khubsoorat rahi...parh ke lutf aaya...behar ke to pooray 4 marks... andaz-e-bayaN aur alfaz ke chunao liye apko miltay haiN...4...
total...... 4+4 = 8
hum aap sab sho'ra ke shukar guzar haiN ke apne apni khubsoorat ghazliyat ke sath muqablay maiN hisa liya.... umeed hai aainda bhi muqabloN ki ronaq barhatay rahaiN gay... all da v best @};-
khush rahiye