
08-31-2006, 11:19 AM
|
 | Member | | | Join Date: Jun 2006
Posts: 102
Country: Tutorials:
0 Thanks: 0
Thanked 4 Times in 4 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 93 | |
Re: abhi is zavi'ay pr sochta koi nahi ho ga | | humn to abhi nay hain aur zain sahib ki ghazal per naqas si ray day kar abhi dobara jab online huay to aap ki ghazal padhi yaqeen kijay ga achhi ghazal hay bohot hi achhi ghazal jissay hum padhna chahtay hain bar bar bohot hi mubarak kay mustahiq hain aap aur haan aap kab say likh rahay hain aur kia kissi say kuchh seekha bhi hay aap nay kyunkay aapkay lafzon main badi baat hay aur yeh aik din main nahin aa jaati zaroor aap kissi say istifaada hasil kartay hongay ? wagarnaa yun to zain bhai bhi achhi ghazal likhnay ki koshish kartay hain magar woh talaazmay per aur arooz per tawajja daitay daitay mazmoon ko hi kahin ka kahin lay jaatay hain abhi kisi or ko kam hi padha hay magar hamain yeh site achhi lagi kuchh samajh boojh hay tanqeed kartay hain magar islaahi na kay ......... achha ji ijaazat dijay aapka QUILL |