dil say aankh tak | | salaam to all members
umed karti hon pahlay ki tarh is bar b ap apni aara say nawazayiin gay
"DARD KA SAFAR''
dil say aankh tak dard ka safar,aanso kahlata hay
jitna bhulayon main apna mazi utna yadd aata hay
mayosiyon, mahromayion, tanhaiyon main but kar
sahil sa ik shaks shyar ban gata hay
sakhti-ay halaat ko naimtay khuda-wandi samgh
k khuda apnay bandyon ko yon aazmata hay
ahlay gahn ko nahi rahman ko hay qadar us ki
jo nayke to karta hay magar kar k bohl gata hay
dil or aankhayin b kan ban gaty hain usay sunay ko
yadayon ka qafila jo maanos se aahat lata hay
gear zarori bab hon main us nisab ka
jo mayre har tahrer ka unwan kahlata hay
khak orh kar jin hastiyon nay tor deya ahday wafa
aag bhi taswur un ka her lamha khon rulata hay!...
__________________ Tot gatay hain bikhar gaty hain
kanch k ghar hain mukdar apnay
"kanch" |