woh baywafa nahi too... | |
apni 2nd ghazal k sath hazir hon,
woh bay wafa nahi to ba wafa b nahi hay
main koi alzam don usay yah mayre mohubbat ko kisi tor gawara nahi hay
ajab hay yah fitraty mohubbat,k sab gilay b usi say hain
jis ki aankhayon main aik b aanso hamyin gawara nahi hay
zabt apni gaga magr kesay sahyon yah azeeat
k jo tha kabhi apna hamra ,ab wahi shaks hamara nahi hay
dard kay gardab nay gahra hay mughay
or dor tak koi kinara nahi hay
jis say mansob ho chuki zindgi apni
ab woh faqt hamri aankh ka tara nahi hay
na chahtay howay b usay sonp dayin gay kisi or ko
k dil tor dayin kisi ka yah asol hamra nahi hay
ya RAB bahram rakhna mayre wafa ka
kay teray bagear mayra koi sahara nahi hay
too waqif hay dilayon ki neyaton say
k main nay teray sawa kabhi kisi ko pukara nahi hay
kasak si hay jo ashk ban kar aankhayon main terti hay
woh to mila nahi or "yah zindgi dobara nahi hay"
__________________ Tot gatay hain bikhar gaty hain
kanch k ghar hain mukdar apnay
"kanch" |