As'salam O Alaikum,
Meer JI:.... ajee ye nazm goi ka muqabla tha... aap nay ghaliban ghalati sey ghazali kawish paish kar di..... daal diya na humain imtahaan main
MeerJi aap k kalaam main khayyal acha hai per rawani ki kami hai tu humian umeed hai k waqt k saath saath wo bhi sahi ho jay gi... aap ki kawish ko hum detey hain 4 points
1.gif)
... umeed hai isi tarha dill-jamaii sey likhte rahain gai aap
Karb:
wo jab chand ne badli se nikal kar mujh se bola tha
bohat tha zoam tujh ko apne gird banhaon ke haale par
kahan hai ab zara dekho
wo har aik tanz ke qisse
khoobsurat nazm hai janaba... khayyal haseen hai.. alfaaz main umdah hain hum is nazm ko detey hain 7.5 points
luckylibra: bhayya aap ki ghazal aachi hai per kyu k ye nazm goi ka muqabla tha is leye hum aap ki nazm ko detey hain 6 points
1.gif)
... khush raheye likhte raheye
Heer Malik:
aap nay bhi ghaliban ghalati sey nazm goi k muqable main ghazal paish kar di... go k ghazal achi hai aur hum is pe daad detey hain /..... per aap k kalam komiltey hain 5
Qassim: umdah nazm hai janab is pe aap ko miltey hain 7points
Mystique:... sab sey pehley tu ye k nazm ka unwaan hi behud haseen hai... per nazm kya kehne... ggo k mukhtasir hai per wo kya kehtey hain k pur-asar hai
1.gif)
... tu is haseen nazm ko humari jannib sey miltey hain 8.5
Rida Jabeen: bohat aachi nazm hai alfaaz ka istamal umdah hai is nazm ko hum detey hain 7.5 points
Aik Lamha: uffffffffff bhaiyya kamal ki nazm hai... 5 baar parha chatti baar apney miyaa.n ko sunaya phir chain aaya... be-intaha haseen nazm hai ...isey hum detey hain9.5
ShumailaRana:....... umdah nazm kehne pe shaira ko dili daad.... is nazm ko hum detey hain 6.5 points
---------------
akhir main wohi dua k Khuda karey k aap ka kalam aur khayalaat haseen sey haseen ki taraf safar karain.... Khuda lafzoo.n maiin jadogari paida karey jise parh k hum jaise log sar dhun sakain
khush raheye likhte raheye