View Single Post
  #13  
Old 07-23-2006, 09:03 PM
Ashraf Naqvi's Avatar
Ashraf Naqvi Ashraf Naqvi is offline
Member
 
Join Date: May 2006
Location: Pakistan
Posts: 263

Country:

Tutorials: 0

Thanks: 0
Thanked 2 Times in 1 Post
Nominated 0 Times in 0 Posts
TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 100
Ashraf Naqvi is on a distinguished road
Default Re: Apnay ash'aar se phir dardd jagaa lainay do

Quote:
Originally Posted by sajidraheem View Post
My New Poem


Apnay ash'aar se phir dardd jagaa lainay do
Aah mai'n phir wo asar lot k aa lainay do


Meri dunyaa bhi to ghaafil thi mujh se aaj talak
Abb k mujh ko meri dunyaa ko bhulaa lainay do


zindagi bharr to kaee log nibhaayaa hai'n karai'n
Hum pe ik baar zaraa mo'ut ko aa lainay do


Saans ki dorr ki kyaa baat kiyaa kertay ho
Hum ko dhaagaa koee mazboot banaa lainay do


Dardd sehnaa bhi to aasaa'n thaa, sahaa kertay thay
Sho'uq se apnaa lahoo aaj bahaa lainay do


Darr pe un ke kharay kharay he phirr se shaam hui
Un ko ik baar to chokhatt pe tum aa lainay do


Abrr, aankho'n mai'n hai, barsaat bhi aa jaay gi
Un k honto'n pe mera naam to aa lainay do


Ab to bay-zaar si dunyaa ye nazar aati hai
Apnay ash'aar bhi Sajid ko sunaa lainay do


Written By: Sajid Raheem Sheikh
(sajidraheem@hotmail .com)
Bohat khoob Sheikh jee..... aap to bohat achhi nazm kehtay haiN! Khush rehiyay likhtay rehiyay.
Reply With Quote