Quote:
Originally Posted by sajidraheem My New Poem Apnay ash'aar se phir dardd jagaa lainay do Aah mai'n phir wo asar lot k aa lainay do Meri dunyaa bhi to ghaafil thi mujh se aaj talak Abb k mujh ko meri dunyaa ko bhulaa lainay do zindagi bharr to kaee log nibhaayaa hai'n karai'n Hum pe ik baar zaraa mo'ut ko aa lainay do Saans ki dorr ki kyaa baat kiyaa kertay ho Hum ko dhaagaa koee mazboot banaa lainay do Dardd sehnaa bhi to aasaa'n thaa, sahaa kertay thay Sho'uq se apnaa lahoo aaj bahaa lainay do Darr pe un ke kharay kharay he phirr se shaam hui Un ko ik baar to chokhatt pe tum aa lainay do Abrr, aankho'n mai'n hai, barsaat bhi aa jaay gi Un k honto'n pe mera naam to aa lainay do Ab to bay-zaar si dunyaa ye nazar aati hai Apnay ash'aar bhi Sajid ko sunaa lainay do Written By: Sajid Raheem Sheikh (sajidraheem@hotmail .com) |
Sajid Raheem saahib ... Tamaam aSh'aar khoobsurat haiN ... Bohot pyaarii ghazal kahii hai aap ne :clap5
Qassim Mirza
:Qassim: