Quote:
Originally Posted by sajidraheem Phir Se Aaya Hai Koee???Kuchh sawalo'n pe mushtamil ye zindagi thi meriThaa yaqee'n mujh ko milai'n gay wo jawaabaat sabhiMilay jo saaray sawaalo'n k abb jawaab mujhayBadal diyay hai'n Us nay mere sawaalaat sabhiZindagi bann k kisi aur ki phir rooth chalai'nKyaa ajabb Ishq sikhaay hai Kamaalaat sabhiAbb to insaa'n ki tarah ye bhi qatal honay lagayQafal mai'n rakh k phiro apnay khayaalaat sabhiMai'n tamaashaa-e-zindagi banaa, lagaa majmaa Do ghari ruk ke hai'n daikhai'n mere haalaat sabhiDil ke maidaan jo sar ker ke ab idher pohonchayKho gaee'n jaanay kahaa'n apni fatoohaat sabhiKhaamshi kyu'n hai ye baazaar pe chhaaee SajidPhir se aaya hai koee baichnay jazbaat sabhi????Written By: Sajid Raheem Sheikh (sajidraheem@hotmail. com) |
Bohot khoob Sajid Raheem saahib
Qassim Mirza
:Qassim: