Phir Se Aaya hai koee Baichnay Jazbaat Sabhi? | | Phir Se Aaya Hai Koee??? Kuchh sawalo'n pe mushtamil ye zindagi thi meri Thaa yaqee'n mujh ko milai'n gay wo jawaabaat sabhi Milay jo saaray sawaalo'n k abb jawaab mujhay Badal diyay hai'n Us nay mere sawaalaat sabhi Zindagi bann k kisi aur ki phir rooth chalai'n Kyaa ajabb Ishq sikhaay hai Kamaalaat sabhi Abb to insaa'n ki tarah ye bhi qatal honay lagay Qafal mai'n rakh k phiro apnay khayaalaat sabhi Mai'n tamaashaa-e-zindagi banaa, lagaa majmaa Do ghari ruk ke hai'n daikhai'n mere haalaat sabhi Dil ke maidaan jo sar ker ke ab idher pohonchay Kho gaee'n jaanay kahaa'n apni fatoohaat sabhi Khaamshi kyu'n hai ye baazaar pe chhaaee Sajid Phir se aaya hai koee baichnay jazbaat sabhi???? Written By: Sajid Raheem Sheikh (sajidraheem@hotmail. com) |