
05-20-2006, 03:52 PM
|
 | HG Club | | | Join Date: Dec 2003 Location: Brampton, Ontario Age: 25
Posts: 2,141
Country: Tutorials:
0 Thanks: 6
Thanked 12 Times in 11 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 712 | |
Re: phir beshak raah badal laina:( | | Quote: |
Originally Posted by Fr!sKy_G!rL ASALAM-O-ALAIKUM doston aaj pehli bar ek ghazal k sath aap logon ki bazm mein shareek ho rahi hon umeed hai aap ko pasand aayegi , or ager kahein islah ki zarorat hoi to aap loog plzz mairi islah kar dijiyega ghazal paish-e-khidmat hai kuch door to maire sath chaloo phir beshak raah badal laina kuch pal tum maire sath raho, phir beshak raah badal laina kuch dair to thamo maira hath, kuch dair raho tum maire pass yeh yadeein mujh ko tum dedo, phir beshak raah badal laina auron k sath to rehtey ho, auron ki suntey, kehtey ho do batein mujh se bhe kar lo, phir beshak raah badal laina kaandhey pe tairey sir rakh lon, aankhon ko apni band kar lon palkon ki chilman girne do, phir beshak raah badal laina q mujh se chup k rehtey ho? q dil ki baat na kehtey ho? jo dil mein hai wo keh dalo, phir beshak raah badal laina jo tum kehtey na kehti hein q aankhein sath na daity hein? yeh aanson bhe apne chun loo, phir beshak rah badal laina bin tairey ji na paongi mein matti mein mil jaongi maire maiyat ko kaandha daina, phir beshak rah badal laina aap ki aa'ra ki muntazir FG |
Bohot achchhi ghazal kahii hai aap ne FG ... Daad qubool keejiay
Qassim Mirza :Qassim: |