Salamz jee,
Pehli dafa aik kaavish paish karnay ki jassarat kar raha hoon, apnay ustaad-e-mohtram Qibla Irfan Ali Minhaas, jo
HG par Tanha Musafir kay name say jaanay jaatay hain, un ki ijazat say main musafir ka takhalus istemaal kar raha hoon, aap ki musbat tanqeed mujhay khaamion ko door karnay main aur aap ki hosla afzaai mujhay mazeed likhnay par maail kar sakti hay, agar aap ki nazar main yeh tehreer nazam kehlanay kay qaabil hay aur kisi adbi meyaar par utarti hay to apni raaiy zaroor den, shiddat say muntazir.
Jal pari hooN
devta kay des say
paigham laanay walay
panchi
un say kehna
ab talak
daasi ki aankhoN maiN
tumhaara roop hay
haaN
piyaaray panchi
yeh bhi kehna kay
yeh daasi
us samey tak
aankheiyoN ki chilmanoN maiN
khaab paalay gi
kay jab tak
hijr kay sunsaan mausam
chatt na jaaeiN
wasal kay phooloN ki khushboo
lay kay jab tak
devta jee
tum naa aao gay
haaN
panchi
yeh bhi kehna
devta jee
teri daasi dar rahi hay
kay
jo aankhaiN khol baithi to
kaheeN
yeh zeest kaa haasil
tumhaara khaab
aur woh hijr kay lamhay tumhaara
murr kay taknaa
bheegi palkoN ki faseeloN say
na chann jaaey
o panchi
yeh bhi kehna hay
kay
pagli jal pari ab
yeh safar
aur yeh riyaazat
yeh aqeedat
yeh ibaadat
paanioN ki hasratoN meiN
teh ba teh
uthee hui
saffaak maujoN kay
piyaasay
neelay hontoN par
kisi pal
seh naa paaey
devta jee
is kahaani main bhi
paapan jal pari
majboor-o-bay kas
piyaar maiN
bay haal-o-bay bas
ishq kar kay
phir akeeli reh naa jaaey
devtaa jee
teri daasi
aansoo'oN maiN beh naa jaaey.
musafir