Chaloo chaand key paas chaltey heyn | | Chaloo chaand key paas chaltey heyn beetey lamhoon ko yaad kartey heyn wo lamhey jin kii tamazat sey ye beyjaan laashaa jall raha hey dill unhii lamhoon mein aseer hey jaanaan tehraa hey woheyn hasrat sey haath mall raha hey chaloo chaand key paas chaltey heyn beetey lamhoon koo yaad kartey heyn iss sey pahley key shaam dhalley raat shaamaa kii tarhaa jalley raakh raakh muhabbat koo yaad rakhney kaa eyaadaa kartey heyn ik doojey ko naa bhulaaney kaa waadaa kartey heyn chaloo chaand key paas chaltey heyn beetey lamhoon koo yaad kartey heyn taaza baa taaza bardasht kijeyey
__________________ Signature Removed - Image exceeds 650 px by 350 px |