Nataij Nazm Goi Mah-e March | | As'salam O Alaikum,
sab sey pehley tu aap tamam sathiyoo.n ki nazm goi k muqabley main shirkat ka behud shukriya ....raay shumaari k zareye kye janey waley faisle k tehet is baar ye muqabla AIk Lamha sahab nay jeet lya hai... hum tamam HG ki taraf sey inhain bohat mubarak baad paish kartey hain ...
aur wo saathi jo is baar muqabley main awal darja na paa sakey un k aaenda k leye naik tamanain... waise bhi ismuqabley ma maqsad behtreen k intakhaab sey zayada likhne k rujhaan ki targeeb dena hai ,..... aur humain bohat khushi hai k humarey darmiyaan bohat achey likhne waley hain... jin k paas na alfaaz ki kami hai na khaylaat ki umeed hai aap tamam saathi aaenda bhi isi tarha shamoliyat kar k bazm ki ronaq barhatey rahain gai
tu is baar ki nazm jo behtreen nazm muntakhib hoi hai wo
AIk Lamha sab ko aik baar phir bohat mubarak ho
aap k tawun ki shukar guzaar Hallagulla Inatazamiya
__________________ hai zindagi sey nibah mumkin!!!!
Main zindagi sey nibha rahi hoon
Hai us nay pocha udaas ho tum!
main tunziya muskura rahi hoon Shagufta Basit |