Barishoun ke mausam mein... | | Barishoun ke mausam mein
youn bhi to hota hai
Ke bahar ki rim jhim bhi
Andar ki sulgan ko mitta Nahi sakti
Barishoun ke mausam mein
Youn bhi to hota hai
Ke ankh se girti boundain
Aasman se girti boundoun mein
Shamil ho kar barasti hein
Barishoun ke mausam mein
Youn bhi to hota hai
Ke har shai nikhar jati hai
Magar man ki dunnia ke
Sab manzar dhundala jatay hein
Barishoun ke mausam mein
Youn bhi to hota hai
Ke mitti se mahak uth-ti hai
Aur dill se aah nikalti hai
Barishoun ke mausam mein
Youn bhi to hota hai
Ke yadoun ki chitta jalti hai
Barishoun ke mausam mein
Youn bhi to hota hai
Ke sard hawa ke sang
Urnay ko ji chahta hai
Barishoun ke mausam mein
Youn bhi to hota hai
Ke mausam ki sho-khian
Ankh kay khali pann ka
Khuch bigarh nahi patin
Barishoun ke mausam mein
Youn bhi to hota hai
Ke bichray huaye rastoun per
Aahista qadmoun se
Chalnay ko ji chahta hai
Han barishoun ke mausam mein
Aksar youn hi hota hai.......
__________________ Just walking in the rain...... |