main rona chahti hooN | | main rona chahti hoon
aur mujhay rona nahin aata
mairay ansoo kabhi lafzoon ka roop laitay hain
kabhi ahoon main dhall jaatay hain
kabhi yeh bin-royee aansoo saari raat jagatay hain
aur kabhi mujhay khamoshiyun kee samander main dhakail daitay hain
main rona chahti hoon
mager mujhay rona nahin aata
derti rehti hoon
k inn aankhoon main taira aks jo sadiyun se sambhaal rakha hai
kaheen kho na jaee
main rona chahti hoon
mager mujhay rona nahin aata |